...

3 views

aaj kal ki ladkiya
kash ladkiya ye bhi samjhe ki Sirf unke Maa Baap ka hi ghar ghar nahi hota,
wahi ghar khushhaal rahe ye sochna bhi thoda galat hoga,
pati chahiye par sasural nahi,maika shadi ke Baad bhi chhute nahi
Kehte toh honge ke apke liye kuch bhi karungi to kyu nahi apana bana pa rahi ho uss ghar ko jaha Tumhare pilloo shona mona ka Bachpan gaya ho
asan hota hai rishte todna judaye rakhna bhi ek art hai bas khud ki khushi ke liye pati ke ghar ko tode wo ladki ye kaise bhule ki wo bhi kisi ki aulad hai.
pati uske ghar ko apnaye sare rishtenate nibhaye
bas inko ye chahiye baki sasural bhad me jaye.
Socho kabhi ye bhi ke tum bhi hogi kabhi kisi ki Maa tab kaise lagega jab Chhod ke jayega tumhala laal uske laal ke liye.
Aaj kal ki ladkiya bahut kuch sikh rahi hai bas ek rishte nibhana aur banana bhul rahi hai.
swabhimaan aur abhimaan ki paribhasha hi jise na samjhe use wo kya hi kisi angan ko pyaar se sinche.

© All Rights Reserved