...

53 views

Aaj ka daur.... kahi tu hi to jimmedar nahi...
Aaj daur hai vo jo naya hai hi nani...
Ankaha hone pr jo Ankaha hai hi nahi...
Ansuna hokar jo Ansuna hai hi nahi...

Aaj mulakat hui hai us dariya se...
Jo kabhi dariya hokar bhi dariya tha hi nahi...
Maloom padi hai maut ki keemat aaj...
Pr abhi bhi koi esa hai jo kahta hai, koi fark hai hi nahi...

Han, maloom hai mushkil daur hai bada...
Magar sach to ye hi hai ki bs daur me fark hai jara, halat to vahi hai...
Ye mai nahi kahati, kaynaat ka khel hai Sara...
Tu jo krega kaynaat bhool na sakegi...
Tu hi hai jo is kaynaat ka khud ko kahata hai badshah...
Are be-akl, han ye sach hai ki insan sa nahi koi kaynaat me...
Magar jara to sharm kr, tu jo abhi bhi apni hrkaton se baaj nahi...
Sarm ho jara tujhe, toone kitno ki jindgi chheeni hai...
Bhale hi vo teri tarha nahi, bejuban hi sahi...
Magar mt bhool, teri hi tarh khuda ne unhen bhi ye kaynaat saupi hai...

Ab tujhe jaroori hai samajhna, tere ye haalat toone khud bana rakhe hai...
Ab tujhe maloom hona chahiye, fitrat-e-jahan apna rang dikhaegi jaroor...
Abhi vakt hai tere paas, sambhalne ka mauka bhi...
Sambhal ja... abhi vakt hai...
Aur agar tu is daur me bhi na sambhal saka, to kyu khuda se rhmat ki mang karta hai...
Ab to khuda bhi tujhse juda hai...
Khuda khud bhi tujhe kaynaat se na bacha sakega...
Abhi vakt hai sambhal ja...
Tujhe khuda baksh dega...
Abhi vakt hai sambhal ja...


© Şᴀɮɛᴙ°⚚