...

28 views

EIK CHAMAKTA TARA THA
Suna tha apne badu say.
Eik chamakta tara tha.

Sab say pyara tha.
Sab ka dulara tha.

Chamakta tha jab hasata tha.
Na dikhta tha jab rulata tha.

Aisa eik khoobsurat tara tha.
Jo bohat dhoor rehta tha.

Barish ka mosam jab aya.
Gum charo aur chaya.

Dhoop ab dikhti nahe.
Na tara phir nazar aya.

Kya khoya kya paya.
Raat bar ghar na aya.

Dekhta raha asmano mein.
Kahe bhi na osay paya.

Raat dalne ke baadh kuch samaj mein aya.
Shayadh woh sapna tha par lagta apna tha.

© m_lone_ali