...

4 views

Mama🐼❤
Ek sawaal tha mera sabse..
Ki aakhir mama main maa do baar kyu aata hai?
Lekin ab parkha to jana...
Ki yahi to hain wo jo mujhe
meri maa se bhi jyada pyaar jatata hai..

Nani ke ghar jakar mere andar ab bhi
ek chhota sa baccha jaag jata hai,
Or agar mama ghar par na ho
to mujhse uss ghar main ruka nahi jaata hai..

Jab sab kehte hain isse baat krte krte
tujhe aalas nahi aata hai,
Aree ab unhe kon samjhaye
ki sabse jyada mzaa to mama ke saath hi aata hai..

Jab mama bhanji bethte hain ek jagha
ye maano sabka concentration whii
chala jata hai,
Iss pyaar or laad bhare rishte ka
parichay to,
hamara hasii mazak hii kara jata hai...

Log sochte to hain ki,
inn mama-bhanji mein badi pat ti hai,
par ye to khushiyan hain,
or ye to baatne se hii badhti hai..

Bass mujhe bhagwan se ek hii duaa karni hai,
Hamesha mama ke aashirwaad or pyaar se
zindagi mein chashni si mithaas bharni hai..

- Richa🐼❤