...

3 views

Mujhe Nahi Aata
Man karta hai mai likhu
Magar mujhe likhna nahi aata

Cheezon ko samajhne ki koshish karti hu
Par shayad mujhe padhna nahi aata

Zehna pareshan hai , Dil gamgheen bhi hai bohot
Par kya Karu gar koi sunne ko baithe mera dard
To mujhe samjha na nahi aata

Aap se koi bair nahi , Gila to mujhe khud se hai
Kyu ki kehne ko to mohabbat se bhari hu mai
Par is mohabbat ka kya fayda jab karni hoti hai to mujhe use jatana nahi aata
© MayAp