...

23 views

WAQT KI NAZAAKAT
Zaroorat nahi hai waqt nikal ne ki
Hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki

Har roz subah suraj nikalta hai,
Aur intezaar bikharta hai,
Dopaher hote hi mujhe dundhe chalaata hai,
Haar sham ko suraj dhalta hai,
Magar intezaar ke yeh mehfooz panno ko apni kitabon se mitana muje ata hi nahi hai.

Woh kya hai na ki,
Hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki....

Maan to karta hai ki logon ko taufae main waqt deti chalu,
Unka intezaar khatma karti chalu,
Nahi dekha jata kisi aur ko bistar par kuch waqt aur guzarte,
Bas yuhi kisi ka intezaar karte,
Din me toh bohot so liye aab waqt hai sukoon ki raat bitane ka,
Magar neend ko kese samjaye.

Kyuki,
Hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki......

Bohot si ranjishein hai, bohot si khwahishen hai,
Magar inhe baaton main kese baya karte hai,
Koi ek pal ka toh waqt dete do chalo,
Kuch nahi to baatein karna sikhaa kaar jao,
Magar yeh khamoshi hai ki mujhse juda hona hi nahi cahati.

Yoh kya hai na ki,
Hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki......

Lafzon ko pehchanana hai mujhe,
Tumhare saath waqt bitana hai mujhe,
Adhi raat ko jaab ankh khule to chadar ki silwate nahi,
Tutate huye intezaar ke intezaar me subah hone ki kushi zalkhe.

Voh kya hai na ki,
Hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki.......

Bada hi acha lagta hai dekhna,
Masum bacho ko yun waqt bitana,
Sochati hu yeh bachpan ke khoobsurat pal hi hua karte the,
Jaab kisi ke waqt ka intezar nahi hua karta tha

Magar kya kare,
Aaj hame toh aadat si ho gai hai zindagi intezaar me hi bitane ki......

Sach kehti hu main,
Thoda toh bharosa karna jaayaz hai na,
Kisi ko apna be Matlab ka waqt dena gawaara to nahi hai na,
Koshish karke dekhlo ek baar,
Zara sa waqt nikal kaar toh dekho ek baar,
Magar....
Aap ki kismat....
Kya jinke liye waqt nikalne ki soch rahe ho woh,
Kya pata tumhara intezaar karte huye kisi aur ke waqt me doobe ho...........
#Time #lovelylife #lovediary