...

14 views

Ek rahi

Ek rahi chal pda apni manzil ki or
Tha shma hua thoda sa dara hua
par chal pda apne hatho me liye jindagi ki dor.

Na kisi ka tha sath or tha koi pass
Par chal pda wo rahi kholne jindagi ke raaz

Bhot se raste mile use jo jate the manjil ki or
kuch lejate andhere me to koi roshni ki or
Yu to bhot se sathi mile is jindagi ke safar me
Kuch ese jo dudhe bhi na mile kisi dagar me
To kuch ese jinhone use bhi dhakela andhero ke sahar me.


Har mod pe kuch na kuch naya aya
Fir rahi ko smjh aya
Ki jo bhi aya usne kuch na kuch sikhaya.

Isi trh wo rahi har jindagi ki sikh ke liye sazta rha
Jitni bhi kathnai ayi wo ruka nhi chalta rha

Fir ek din tham sa gya bo
Pta chala wo bhot dur nikal gya wo
Ab bapas kese jaye ye use smjh na aya
Fir laut ke wo bapas na aya
Fir waqt bhi ek din tham sa gya wo chalte chalte ruk sa gya
jis dor ko pkda tha use wo chod chala
abki bari nayi jindagi ki or chal chala.




© asr