...

7 views

My Stupid Heart
Maine dil se chaha use koi gunaah kiya kya,
ye to bta zara ki isme thi meri koi khata.

lamha lamha yaad kiya use aise ki na thi koi wajah,
pyaar tha wo mera jaise rab se mangi dua.

bagon me udti titliyan aur phoolon ka rangeen sama,
meri chahat thi wo ya tha ek sapna.

bahon me bharna chaha maine usko samajh phoolon ka guldasta,
par na jane kyo aisa hua ki badla tha usne meri mohabbat ka rasta.

pakeezgi se chaha jise maine samjh apna,
lekin usne kuch na samjh mujhe chod akela toda ye sapna.

pyaari thi bahut mujhe wo apni jaan se jada,
lekin yaaro uska bhi tha alag hi apna ek sapna.

ud chali thi wo dur kahi dekh ek ameerjada,
kuch na tha tab ma bas pagal ek ashiqjada.

tuti thi is kadar umeed uski jab usne meri mohabbat ko tha pehchana,
par ma bhi chod deewanapan chal pada tha mehkhana.

yadein uski rulati rahi paar kbhi na ma bhatka,
chaha use tut kar hardam maine bhool apni duniya.





© Paricha24