...

4 views

Raahgir hu rasto ka !
Mai raahgir hu rasto ka ,manjil ki khoj mai,
Bas Chalta chala ,anjaani si raaho pe!
Kbhi Afasane sa bheta hua, ek sire se dusre mai,
Rasta paidal ho chalne ka ,ya ho sawari pe,
Har raste ki apni nishani h,har gujarte mile pe, unhi nishaniyo ki talash mai,
Bas Chalta chala, sang bheti hawao mai!

Mai raahgir hu rasto ka,manjil ki khoj mai,
Bas Chalta chala, anjaani raaho pe!
Ye Mijaj h gujrati raah ka, rehti h yaadon mai,
Har mausam ka saar chupa h, har badalti raaho pe,unhi raaho ki talash mai,
Bas Chalta chala,har badalte seharo k mausam mai!

mai raahgir rasto ka,manjil ki khoj mai,
Bas Chalta chala ,anjaani raaho pe!
Kabhi safar akela hua ,kabhi hua kafiro mai
Har musafir ki alag kahani hai,Har moud k kisse me,unhi kisso ki talash mai,
Bas chalta chala ,har gujarte rasto mai!

-Arya
© All Rights Reserved