...

3 views

dilse Dosti
Jab koi apna dard sunaye toh sun Lena,
Har baar Insan ko duwaon ki zarurat nahi hoti,

Kuch pal kuch lamho ke sath waqt bitna hota hai,

Unke Jazbaton ko unki baaton se suna hota hai,
Jo apne ghere zakhmon ko waqt ka
Marham lagna hota hai,

Apne man ki saari baatein bata ke
halka karna hota hai,

Kuch pal sukoon aur aaram se bitna hota hai,

Man ki shanti dil ki Rahat ek insan ko
Insan se zarurat hoti hai,

Dil ki tasalli ikminan dene wale ki
pal do pal sath guzarne wale ki zarurat hoti hai,

Koi toh hai jo mujhe sunta hai,
Koi toh hai jo mujhe apna sa lagta hai,

Zaroori nahin apki baaton ko sune wala
Ek dost ho, koi pyar ho, koi rishte dar ho,

Ek ajnabi ho ek Anjana ho kisi se
Naa miln wale aisa Shaksh khuda ka farishta ho,

Buss patthar jaisa bhagwan naa ho
Asaman mein chhipa khuda naa ho,

Yaar se yaar ho mere sawalon ka jawaab dene wala ho, samjhane wala ho, samjhne wala ho, buss aisa dost koi ajnabi Anjan ho,

Jab koi apna dard sunaye toh sun Lena,,
Har baar Insan ko duwaon ki zarurat nahi hoti,

© aj story's