...

2 views

Qalb-e-Ma'aliz (Doctor Of Heart)
Kya hi kehne the Logon ke jahan Mishail kahin ki Rani thi aur Munawar uska Humsafar tha.
Mishail aur Munawar ke khayalaat do raahein thi, jinka milna mushkil tha.
Mishail: Muqaddas, ajeez ek phool si Rani thi apne Walid Ruhaan ki. Bhale uski walidah ka koi malum na tha woh choti Umar mein hi usee chodh chali gyi thi. Woh ek mua'almah thi.
Munawar: Shaam ki dhali dhup, andheron ka Raja na Walid ka pata na walidah ka. Bhale tha woh yateem par Dil ka sacha aur Vaade ka pakka, Qalb-e-Ma'aliz (doctor of heart) tha.

"Gulabon ka dastur hai,
Khusbu phailana.
Unka kaam na cheene,
Jaan-e-Munawar!"

"behki behki baatein bohot suni hai,
Aise log bohot mile hai.
Milne ko hazaar jarur hai,
Par aap ki baat aur hai.
Muhabbat ki baat hai aur,
Laat ghushon ki baat aur hai."

"Jaan-e-Munawar!
Hazaar aashiq honge aapko,
Par humare tarah shiddat wala
Na kal aaya tha aur na aayega."

"Mauqe hazaar diye hai,
Ab aur nahi."

"Ek akhri ki umeed toh,
Sabko hoti hai."

"umeedein Krna asaan hoti hai,
Par Umeed poori ho yeh jaruri nhi."

"Aapke nazrane ek shayri likhi hai.
Arz kiya hai~
Phoolon ki shabnam bhi num hogyi,
Chand bhi chup gaya,
Jab Mera Sanam mere saamne aaya.
Ankhein meri thi num,
Aksh behne ki zid mein the,
Hothon se muskurahat jaane ka naam na le rhi thi,
Haath jaise hi chune gye,
Woh gayaab hogyi.
Maano ek parichayi ki tarah thi woh.
Tute Dil liye haath mein,
Humne intezar-e-yaar Kiya tha.
Par Aaj bhi hum wahin hai,
Jahan us din the.
Intezar-e-yaar ne maut ka Darr bhi Mita Diya.
Log kehte the dil diya hai jaan bhi denge,
Aaj Mera dil kehta hai
Muhabbat Kiya hai, jiyenge toh saath marenge toh yaar ki Khushi ke liye."

"Baatein ansuni reh gyi,
Kuch baatein ankahi.
Aaj akhiri mulaqaat hogyi,
Ek Muqaddas pari ki,
Ek Qalb-e-Ma'aliz se.
Shaam dhali,
Raat saamne aayi.
Andheron mein mile the aap,
Roshni de Gaye.
Fi Amnaillah!"

Akhiri chitti likh di Jaan-e-Munawar ne.
Jaan-e-Munawar apni Jaan ka intezar krta reh gaya. Usi thandi raat mein, wahin khada reh gaya. Hawa thandi thi, sansani si ek kap kapi uth gyi. Thand badhti gyi aur wah wahin khada raha tha toh Qalb-e-Ma'aliz par waqt ne usee mareez-e-dil bana diya. Akhiri thi woh baat, woh mulaqaat, woh jazbaat ke wasile, muqadme jo lade gaye woh bhi akhiri hogaye. Munawar ki sansein tham gyi dusri subah. Akhiri jhalak usne apni Jaan ki lekar bas itna keh Diya usne:- Zindagi muhabbat ke naam ki thi, Aaj apni maut bhi muhabbat ke naam likhwa diya.


© Shines