...

37 views

Aadat🍂
Aadat...?

Agar shuru se shuru karu,
Toh iss baar mohabbat kar paogi kya?
Apni adaat bna paogi kya ?
Awaz pasand h tumhari,
Apne pasandida gane suna paogi kya?
Kuch baat kehna h tumse,
Toh thodi der ruk paogi kya?
Ek Roz dhalta Suraj dekhna h,
Char kadam mere sath chal paogi kya ?
Agar shuru se shuru Karu,
Toh iss baar mohabbat kar paogi kya ?
Apni adaat bna paoge kya?

© Holywine