...

152 views

Alag sa dard hai💮...
Acha chorho, rehne do, chedo na fardein,
Toote dilon ka alag sa ye dard hai,

Ankhein bhari par hasta hai chehra,
Marham lage na zakham itna gehra,
Ek kone mein rakkhi hain yaadein kyi,
Acha chorho, ab htao na pardein,

Toote dilon ka alag sa ye dard hai,
Toote dilon ka alag sa ye marz hai,

Dard mein bhi hasaye, ye kesa sehr hai,
Holle holle se maare, ye vo mitha zeher hai,
Vo Bewafai se bhi wafa kr na sake, vada kr aaye fir aaj ki seher hai,
Koi kambhakt wah wah toh kar jayega, chahe jitna bhi dukh bayan kardein,

Rehne do, chorho, chedo na fardein,
Toote dilon ka alag sa ye dard hai,

Bss hum na batayein, ye dil ki khatayein,
Vo masoom chehra, bala c adayein,
Vo rangeen kahani, vo roshan fizayein,
Kacche se vaade, vo jhooth k saayein,
Milta nhi ik pal bhi sukoon ka ,
Allah rehem hum pr bhi karde,

Acha chorho, chedo, na fardein,
Toote Dilon ka alag sa ye dard hai...

"Ye dooriyan bhi dil ki majbooriyan hui,
Ye dard bhi ab beilaaj-e-marz hogya,
Kal tak toh Suroor-e-ishq se bach k chalte the hum,
Or aaj naam ashiqon mein darz hogya..."


*Fardein- layers/ things recorded in past,
Pardein- curtains,
Sehr- magic,
Zeher- poison,
Seher- morning,
Holle-holle = slowly slowly,
Khatayein- sins,
Fizayein- skies, green open area,
Saayein- shadows,
Marz- disease*

*HINDI*
...