...

8 views

Ishq Kohinoor
Maine chah kar bhi izhaar-e-ishq nahi kabhi kiya,
Aur usne na chahte huye bhi har baar kabool kiya...
Ki
Har baat labon pe lana lazmi nahi hai
Fursat se bitaye mujh sang do pal
Uske liye kohinoor se kam nahi hain....

Vo hota hai jab mere sang,
Bus muskurata rehta hai
Aur
Kehta hai
Kyu kahun tu meri hai
Ki
Kyu kahun tu meri hai
Kya jismo ka milna ishq mein zaruri hai?

Mai lakh chahu ek vo hadd paar nahi kar skta
Tu bhi kyu na chup reh kar kya mohobat-e-luft utha nahi skti?
Kyu jatana hai zaruri ki ishq hai
Kyu tu mere labo ki kampan ko samjh nahi sakti ...

Ki vo kehta hai...
Ankhon ki bhasha
Lafaz kabhi bayan nahi kar skte
Kalam kabhi bhi mere ishq ko zubaan nahi de skti
Tujhse ishq kabool karna ek aam si baat hai
Par tera mujhse roz baat karna ishq he toh hai!!!!
©divya singh

© divyasingh