...

4 views

Rab
Or phir jab bhi koi gam satata h
sabse pehle hume khuda yad aata h
kahi sab thik hone ke lie dua fariyad ki jati h to kahi
dardo ka gunehgar khuda ko thehra dia jata h
wo rab h huzur sab janta h
bande h hum uske kehne wala wo shakhs
har faisla lene par rab ki kaha manta h
ye zindagi ki kitab rangin yu hi nahi banti
yaha har koi shuruat ke kagzo par hi mash hoor nahi ho jata
aksar manzilo ke rasto me kayi rukawate aati h
kitni baar to haar jane ko jee chahta h
par rooh me kahi wo ek lau si baki hoti h kuch kar guzarne ki
apne khwabo ko hakikat me badalne ki
ek baat kahu vese wo zindagani hi kya
jo khudse na sajai jae
mana ke dukh h tamam dard h
par kya sirf khushio ke piche bhagna
hi zindgi h? nahi
islie us rab par bharosa rakhie
ek wakt aesa bhi aaega jab sab thik ho jaega
phir naaz hoga aapko khudke upar
ki kese humne har ek taklif ka samna kia
kese haare hue mann ko jeete sapno ne hara dia
islie jab thak jao halato se to kabhi khuda ko ya khud ko na kosna
kyuki wo wakt zarur aaega jab sab thik ho jaega
to aaj se hi zindgi se shikayate karna rok dete h
aane wale kal ki kisiko khabar nahi chalie
zara sa hi sahi aaj phir muskura lete h

© rõõh

#haarnamatzindgise #jeethasilhogi