...

5 views

Raat kaali hai to kya hua||
Raat kaali hai to kya hua sawera hoga,
Ujale ke baad gharo mai roshani ka basera hoga ||
Tu chalta ja ae musafir raahe tujhe dikh jaegi,
Teri raah khud-ba-khud tere pau par chalna sikh jaegi ||
Tere qadmo ki aahat se to zameen bhi dar jae,
Teri kaamyabi ki unchaiyo se to aasmaan bhi bikhar jae||
Raat kaali hai to kya hua sawera hoga||
Chalta ja tu ae "musannif" suraj zaroor niklega,
Tere bejaan pade phoolo ka baag ekdin zaroor khilega||
Logo ka to kaam hai kehna wo kahenge har mod par,
Aaja bas tu nikal kar aage baate wahi chhod kar||
Kaali parchaae to andhere mai bhi chhut jati hai,
Lekin naa chhode to wo sab kuch loot jati hai||
Chhod kar ab sab roshni ki taraf badh ja,
Siidi par pau rakh ab us khidki ki taraf chadh ja||
Andhera siimat sa gaya hai roshani aane lagi,
Umeed ki ek nayi kiran wo apne saath laane lagi||
Tera ab sab sawarne wala hai tu rakh taiyari,
Dekh roshani se ab khilne lagi hai teri phulwari||

Raat kaali hai to kya hua sawera hoga,
Ujale ke baad gharo mai ab roshani ka basera hoga ||
© Musannif Qalam