...

1 views

Meri Khaasiyat
Mujhse puchha jayga to mai kya kahunga,
Bahar mujhe khatra hai , mai to Ghar mai hi rahunga.

Uthega jab mudda purani bato ka,
Mai kuchh na kahunga khamosh rahunga.

Log mere bare mai janna chahenge per na jaan sakenge,
Mai bina lafz hasta rahunga.

Meri kitaabo ke panne bhi alag likhawat samajhte hai,
To mai unse bhi raaz bnaye rakhne ko kahunga.

Mere bare mai pta kerne ki tumhe badi hasrat hai,
Mere sath chalne mai tumhe dikkat hai.

Mai aisi to khud ko khuli kitaab nahi bnaunga,
Mai likhunga per tumhe nahi dikhaunga.

Jo ittefaqan tumne mera likha pada bhi liya,
To tum sirf alfaaz padoge,
Ehsas to nahi samjhaunga.





© ALBAB QUDDUSI POET