...

15 views

Dil
Ab bhi intezaar karta hai dil
Ab bhi tujhe yad karta hai dil
Tu jawab de ya kar nazar andaaz
Ab bhi tujhse sawaal karta hai dil

Pdh liya karti thi chehre ki udaasi ko tum kabhi
Bikhar bhi jaoon to sambhal liya karti thi tum kabhi

Waqt hi to badla hai
Kuchh rishte hi to toote hain
Fir kyun tujhe paane ki duayein karta hai ye dil

Haara nahi tha mai kabhi
Na darta tha saamna karne se
Laakh musibatein aa jaye
Tu sang thi to sabse lad jata tha ye dil
© IndoreKeGopal