...

8 views

PAPA
Bachpan mein Aisa laga jaise aap nhi karti mujhse pyaar
na poocha kabhi ki aaj ka din kaisa tha Tera, na pooch kabhi ki dost kitne banaye
subah Ghar se nikalte fir der raat tak lautke aate
mujhse kabhi do meethe bol na khe paate
bachpan mein lagta tha jaise aap nhi karte mujhse pyaar .

Fir yeh Umar Jo badhne lagi thi
ab yeh padhai ki kitaabein bhi moti hone lagi thi
apne papa ki unkahi ab baatein samjhne lagi thi
haan ab un laal aankhon mein mere liye narmi Nazar aati thi.
Ab us ek pal ki muskurahat mein
mere liye jee gyi unki zindagi ki jhalak dikh jaati thi

bahut sawaal poochti thi
hum naya Ghar kab lenge, hum bhi plane mein ghoomne kab jaayenge
fir Nazar aane lagi voh saari sachai jaise jaise kam hone lagi unke kaale baalo ki chamak aur badhne lagi meri lambai.

wakt thoda aur beeta fir
ab toh entrance exam Dene ki baari aayi thi
din raat padhne ki aur coaching ki mehngi fees bharne ki baari aayi thi
papa ka har shirt ka collar maila rehne laga tha
jis se meri diwali nayi ban jaati thi
aur unki usi purani kurte mein har diwali beet jaati thi.

Ab us zabardasti ki muskaan ke parde ke peeche aapka dard saaf jhalakta hai
aur kitna chupaoge papa
ab aapko Mera dil samjhta hai
har us badi gaadi,bade Ghar aur ghoomne ke sapno par lage taalon ki chaabi mere sapno mein hi kyu khodi aapne?
ab mein bhi badi hogyi hu
toh aap bhi jeena seekh lo na
apni khushiyon ka gala yu na ghoto na papa.



© divedeep