...

11 views

Darmiyaan : Love Inside You
meri khwaishen tumse hai
meri chahatein tumse hai
meri nawazishen tumse hai
dil mera jo dard hai ya
dawa hai woh bhi tumse hai
yeh jo suraj ki kirne hai
tujhe deti hai yeh chamka
aur raat ki chaandni mein
tu lagti hai khubsurat bakhuda

jahaan bhi jayun main
tujhe hi paayu main
jahaan bhi karta hoon
main safar tu saath hi saath
chalta hai mera humsafar bankar
tu roshni tu zindagi
hai dil bhi uska sukoon bhi
hai dil bas aawaz nikle tu hai
meri, tu hai meri...

tu neend bhi tu jaag meri
main kar raha ibadatein teri
yeh jo roohaniyat hai
hamare darmiyaan
wajah hai ban gaya
ab hamare jeene ki sadaa
tu Rehna yun hi sadaa
kareeb saath mere
karta rahe yeh shukrana
tera sadaa...

main zameen hoon
tu aasmaan hai
tu roshni main
bhatka musafir
hum rahe na rahe
phir bhi rahe yeh pal
jo the mere tumhare
darmiyaan,
hai jism ka nahi
hai dil aur rooh yeh
rishta jismein hai
basti sirf teri sadayein hamesha
kehna na kabhi tum
hongey judaa humse
jaana tum humko
kabhi chhod kar
kyun ki tere bin ab
na gawara hai mushkil
hai mushkil tere bina jeena
hai mushkil......

© akhil bhatiya