...

1 views

Viraan Duniya~
Duniya viraan hai,
us choti soch se.
Duniya sunsan hai,
logon ke khayalat se.

Ab koi kisi ka saathi nahi,
sab hue magan apne mein.

Yeh duniya viraan hai,
us choti soch se..

Aaj koi kisi ka bhala,
bina kisi matlab ke karta nahi.
Aaj do haathon se taaliyaan bajti hai,
Ek haath wale chale gaye.

Insaaniyaat ke naam mein bas,
Dhokebaazi bachi hai.
Imaandari ke naam mein bas,
Beimaani bachi hai.

Yahin milti hai Chhal, kapat,
Yahin milti hai Dhokebaazi,
Yahin milti hai Beimaani,
Yahin milte hai log vishwas ghaat ke.

Yeh duniya viraan hai,
sache logon se.
Yeh duniya viraan hai,
Dayawan se.

Yeh duniya viraan hai,
theek us akele insaan ki tarah,
Jo Haste hai mehfil mein aur rote hai tanhai mein.

Tanhaiyon ki shikayat sabhi jagah hai aaj,
Siwaye us jagah kr jahan koi kisi ka saga nahi,
sab daage baaz hai.

Us Shikwe mein ek shikwa yeh bhi jod le,
Bas tu hi ek tanha akela nahi is viraan duniya mein,
Ab toh sabhi tere raaste chal rahe,
farq sirf itna hi hai unki kahani alag hai,
Unki shikayatein alag hai.

Zindagi taufa jarur hai,
par uska sahi istemaal Aaj Tak kisi ne na kiya,
sabhi sirf shikayatein karte hai zindagi se,
Yeh bhul kar ke aaj woh Jahan bhi kadhe hai woh unhone ne hi chuna hai.


Yeh duniya viraan hai,
Khushiyon se,
un chekhte, khil-khilate chehron se >>>🍂






© Shines