...

23 views

Kaha tha n maine!
Kaha tha na maine,yu n aaya kro
Kaha tha na maine,yu n bulaya kro

Tumhara yun mera naam lena kuch alag sa lgta hai
Tumhara yun mujhe dekhna,chhil sa deta hai

Agar itna hi pyaar hai,to keh kyu nhi dete
Agar itna hi ikraar hai to jata kyu nhi dete


Muskurakar dil jalana,koi tumse sikhe
Nazre milakar chura lene ka hunar tumse sikhe

Agar aana hi hota h tumhe,to jaate kyu ho?
Or agar jaana hi hota h to aate kyu ho?

Or kyu nhi samjhate apni in yaadon ko
Na aaya kre mere raaton ko

Kaho na in khwabon se
Chal jaye chupke se

Kaha tha na maine yu n aaya kro
Kaha tha n maine yu n bulaya kro