...

1 views

#pachtawa
Kaash Faisalon Ke Panno Ko Jala Hi Diya Hota, To Aaj Pachtawe Mein Darj Mera Naam Na Hua Hota ! Kaash Chuppi Ko Zubaan Par Chadha Hi Diya Hota, To Aaj Pachtawe Mein Darj Mera Naam Na Hua Hota ! Kaash Usulo Ko Thoda Samjha Hi Diya Hota, To Aaj Pachtawe Mein Darj Mera Naam Na Hua Hota ! Kaash Kadr Ko Waqt Par Sanwar Hi Liya Hota, To Aaj Pachtawe Mein Darj Mera Naam Na Hua Hota ! Kaash Sulah Ko Thoda Aazma Hi Liya Hota, To Aaj Pachtawe Mein Darj Mera Naam Na Hua Hota ! Kaash Fikar Ko Thoda Jata Hi Diya Hota, To Aaj Pachtawe Mein Darj Mera Naam Na Hua Hota ! Kaash Ehsaas Ko Waqt Par Bula Hi Diya Hota, To Aaj Pachtawe Mein Darj Mera Naam Na Hua Hota…!!!