...

8 views

About life
Koi apno me jeeta hai,
To koi bachpan se akela,
Kisi ke paas apne log hote hai,
To koi khud me hi apne log dhunde,

Jisko bachpan se sab kuchh mila hai,
Wo kabhi kabhi sab kuchh hote hue rahe dukhi,
Aur jisne bachpan se dekhi hai garibi,
Usko 2 waqt ka bharpet khaana bhi lage jaise diwali,

Life ki iss journey me bahot musafir milte hai,
Unme se kuchh apne lagne lagte hai,
But kabhi nahi bhulna chahiye,
Musafir bichhadne ke liye hi hote hai,
Sab ki koi na koi manjil hai,
Usko bhi kahi pahunchna hai,

Suraj n chaand ko dekha to,
Bahot opposite hai wo,
Ek hamesha garam,
To ek sheetal,
Koi nahi keh sakta ki unme dosti hai,
Unn dono me bhi pyaar hai,
Ek ko jeene ko mile,
Issliye ek ko mitna padta hai,

Jab sab kuchh aankhon ke saamne,
Chhutata hua dikhta hai,
Koi apne ka durr hone ka ehsaas,
Uss time hurt to bahot hota hai,
Bahot kadva lagta hai kehte waqt but yahi sach hai,
Jo hota hai achhe ke liye hi hota hai,
Shayad aage jaake kuchh achha ho

Life ka rule hi hai simple,
Kuchh paana hai to kuchh khona padega hi,
Iss truth ko accept karke jo aage bada,
Wo hi apni manjil tak pahuncha