...

17 views

Beti
Betiyan to babul ki raaniyan hai
Betiyan to papa ki rajdulariya hoti hai ....

Jo maa papa ko swarg le jata hai ; vo beta hota hai
Par jo swarg ko ghar le aaye wo betiyan hoti hai

Par jo swarg ko ghar le aaye vo beti hoti hai
Na jane kyu ek beti ko apna ghar chod kar jana parta hai
Jisko ungli pakadkar chalna sikhaya tha
Aakhir ek din use doli mein bithana padta hai

Bahot chota sa safar hota hai pyari betiyon ke saath...
Bahot kam waqt ke liya hoti hai ye maa papa ke paas....

Meethi meethi se yaadein lekar chali jaati hai
Jindagi ek kahani ban jaati hai
Beti ek nanhi si kali hoti hai
Jise apna sab kuch jodh kar kahi aur jana padta hai

Inka dard koi na jane
Jo jane uske aankhen naam ho aave
Kuch log beti ko bojh samajhte hai
Saayad unhe zindagi ka sarthak hi nhi Maloom nhi hota

Beti ki mohabott ko aazmane ki jurrat mat karna
Usko rulane ki gustakhi mat karna
Beta agar maan hai
To beti ghar ki shaam hai
Maa baap ka saath hamesha nibhati hai betiyan...
Sab dukh dard apne dil mein basakar ji leti hai betiyan


Ghar ki ladli hoti hai betiyan
Rishton ko sanjokar unki yaad mein roti hai betiyan...

Kabhi inki aank se aansoo na chalakne dena
Bahot masoom hoti hai ye; inka kabhi dil na dukhana




💖💖BETI 💖💖


_Shweta ❤️❤️❤️❤️