...

2 views

dilse Dosti
Mujhe pata hai, Koi faida nahi hai,
main usko yaad tak nahin,

Main us shakhs ka intezar kar raha hun,
Jo kabhi ab laut gaa nahin,

Der raat tak, Subha ki shab tak, jagtha hun,
Bechain be hal se raatein silwaton se kata hun,

Geet aur sangeet ko bhool ke Gazalein
Aur nazmein sun raha hun,
Naa kaisi se shikayat karta hun,
Naa kisi se shukar Guzar hota hun,
Khamoshi ke andhere mein rahta hun,

Mujhe pata hai, Koi faida nahi hai,
main usko yaad tak nahin,

Main us shakhs ka intezar kar raha hun,
Jo kabhi ab laut gaa nahin,

Amrita Pritam saheba ki aankhon mein
sahir sab ka Intezaar dekh raha hun,

Imroz sahab ki Ishq-e-mohabbat ki
Pyar ki Shidath aankhon mein
dekh raha hun,

Naa jane kyun In kirdaro mein jee raha hun,
Naa jaane apne aaine mein tujhe dekh raha hun,

Naa Laila hai, naa Majnu hun
Naa sheeri hai, naa Farhad hun
Ishq-e-mohabbat ki saari rasmein
Tanhai nibhana raha hun,

Mujhe pata hai, Koi faida nahi hai,
main usko yaad tak nahin,

Main us shakhs ka intezar kar raha hun,
Jo kabhi ab laut gaa nahin,

Apni zimmedarion se duur ho raha hun,
Dard-e-dil ke boj Shidath se nibha raha hun,

Har dilse milta hun har dilse utar jaata hun,
Main musafir hun safar ka rahe jaata hun,

Naa jaane season ki ghutan mein jee raha hun, naa jee raha hun naa mar raha hun,
Apni shakshiyat se dafan ho raha hun,

Mujhe pata hai, Koi faida nahi hai,
main usko yaad tak nahin,

Main us shakhs ka intezar kar raha hun,
Jo kabhi ab laut gaa nahin,

© aj story's