...

3 views

Kya likhu inke bare mein ...🐶❤️
Kya likhu inke bare mein ....

Ye to wo masoom bacche hai,
Jo janwar hokar bhi insaano se behtar hai..
Jab paida hote hai to maa kuch din hi sath hoti hai,phir kisi gaadi ke nicche aa jati hai aur ye akele ho jate hai..lekin ye kabhi bhagwaan ko iske liye dosh nahi dete ...

Inhe khane ke liye mile to bhi thik na mile to bhi thik,roti ke ek tukde ke liye dar dar bhatakte hai aur insaan,insaan hokar bhi inki pidaa nahi samjhta hai roti na dekar patthar se maarkar bhaga deta hai phir bhi ye masoom bacche kabhi bhagwaan ko dosh nahi dete ....

Ye rehne ke liye Ghar bhi nahi maangte,kisi ke Ghar ke bahar so gaye to log maar kar bhaga dete hai,road par galti se chale gaye to kisi ke gaadi ke nichee aa jate hai kabhi kabhi ye apne shareer ke kuch aango ko bhi kho dete hai phir bhi ye kabhi bhagwaan ko dosh nahi dete ...

Ye chhote chhote bachhe bas insaano ke liye khilaonaa hote hai apne bachhe ka Dil behlaane ke liye inhe kuch din ke liye Ghar mein le aate hai ..

To kabhi Ghar ka guard bana kar bahar baandh dete hai gussa aaya to hath utha Diya aur bimaar hone par inkaa sath chhod dete hai aur ye masoom bacche phir bhi bhagwaan ko kabhi dosh nahi dete ...

Inhe jitna bhi Mila hai usme hi khush rehte hai,
jis ghar mein jate hai ussi ko apna pariwaar bana lete hai,logo se pyar karne lagte hai phir bhi insaan inki bhaawnao ki kadra nahi karta aur ye phir bhi bhagwaan ko dosh nahi dete balki apne malik ki khushiyon ke liye dua karte hai ....

Aur ek insaan hota hai jisse kitna bhi mil jaye vo bhagwaan se maangna nahi chhodta..
© अधूरे_अल्फाज़