...

3 views

khawabo ki duniya
#ख्वाबोंकीदुनिया

chalo ek aisa jahaan banaye,
jahan koi dukhi na hoon,na koi pareshaan
na koi shikwa na koi gilla
na koi bebas no koi akela

na koi jhoot, na koi bhoot,
na koi jeet na koi haar,
bus hoon pyaar hi pyaar
na koi deta hoon dhoka
na koi kisi ko lootne ka leta hoon mooka

sirf hoon sachai aur achhai
na koi dard na koi gam
na koi dur na koi majboor
na koi dar, na koi bahe
na koi lalach na koi saahe

Bus icchayo ki hoon udaan
bus pure hoon aarmaan
na koi dard, na koi apmaan
na koi waar,na koi ahenkaar
na karta hoon koi kisi ka balatkaar


na koi hoon jung na koi hoon abhimaan
bus hoon maan, aur sammaan
bahut saari khushiyon ka mela
na koi kaam kaaj ka jhamela


na koi hoon tantra
na koi hoon jaado na koi hoon toona
na chadti hoon kisi ke bali
na koi karta hoon jalan
na koi karta hoon kisi se nafrat
sabki puri hoti hoon hasrat
sab milkar kare khulkar baatein
aur hoon sapno ki raatein

na koi rook na koi took
na koi pehra na koi bandish
na koi kisi ko na dabaye na koi sataye
bus ek dusare ko hase aur hasaye
na koi kisi ko rakhe kaid main
bus hoon khuli azaadi
sab rehte aabad, na koi hota barbaad
na koi karta hoon kisi ko tang
sab rehte hoon khush ek dusare ke sang
Aisi hoon duniya khawabo ki jo hoon jannat jaise🙏🏻🌈





© Geetika Gupta