...

14 views

Jeena isika naam hai
Chal pade un raho pe,
Jin raho pe roj chalte hain.
Dhundhte hai nai manjil magar,
Shayad kahi gum si hai.
Hai inhi raho me kahi.
kisi anjaan se mera pata puch rahi hogi.
Hai wo bhi bekhabar..
Dundhta ja raha hu use..main bhi.
Bagh rahe hai sab khamakha,
Khoj rahe hai khushiya.
hai sab unke hi jholi me.
Par yaha kisi ko waqt kaha.
Yaha to pyar bhi itminaan se nai hota.
Train ka dibba hi kamra,
Aur safar karne wale parivar ka hisa.
Shayad tarash rahe hai khudko sabhi,
Akhir jina sabko hai isi tarah yahi.
Me us pal me ji uthta hu,
Jis pal us kinaare par hota hu.
Wo hawayein jab baalo ko sehlati hai,
Saasein jab taaza ho jati hai ,
Umid nai si ho uthti hai,
Sochta hu gaa lu khud ko yahi.
Aur wo Manjil... khoi si
...mil jaye kahi.

© Ritzy Sage