...

2 views

( Jo Tehre )
Ab hum safai kya dete badnaam jo tehre -
Andhi humari mohabbat ka anjaam jo tehre -

Kya gila kisi se , aur kya wazahat karen gum ki -
Hum khushi ki dalti akhri shaam jo tehre -

Kyun na ho saka mukammal hum se wo afsana -
Hum apne kaam main aksar nakaam jo tehre -

Kyun hume taana de kr pukara gaya hai -
Hum unki mehfil main benaam jo tehre -

Akhir aik din jana hai moot ka farmana hai -
Ayar karte karte sansoo ka ithraam jo tehre -

© AbrarAhmedAyar