...

2 views

Koi to aisa chahiye.......
Zindagi ki har dafa mai har bechani
Aur har khwaboo mein Koi to aisa chahiye
jise dekh kar dil kah de bas ise hi chahiye.
Ho Karakti dhup aur banzar zameen
dopahar mein khamosi ka ek mehfil atrangin aur ghut te huye dum mein bhi lu ka wo hawa
saans pe bekabu ek chahat jahan koi to aisa chahiye
jise dekh kar dil kah de bas ise hi chahiye.
Andheri raat ho ya toofani asmaan
ya fir barrish mein sansanata bhigi huyi rasstan
Ho agar khwab mein dhondliyapan jada
phir bhi umeed ke liye koi to aisa chahiye
jise dekh kar dil kah de bas ise hi chahiye.
Thand ki mausam mein subha ki asmaan Sisir se lipta huya ye sarajahan,
unme bhi suraj ki ek halki si roshni
Na bitne wala waqt aur pura toota zindagi jinme tasalli dene ke liye koi to aisa chahiye jise dekh kar dil kah de bas ise hi chahiye.
Akhir mein dhoop mithas ki wo suraj
wo jaan dalne wali hawa jo hume
koyel ki boli se kuch yaad dila ti hai
jahan dil kisiki aneki mahalt ginti rahti hai
us mausam me bhi koi to aisa chahiye
jise dekh kar dil kah de bas ise hi chahiye.
Iss dil ki har dafa mein har kardood
har lihaz mein koi to aisa chahiye
jise dekh kar dil kah de bas ise hi chahiye.
© SDC