...

2 views

Meri peheli jeet
Me kabhi jitti ni thi
partiality ke duniya me fas gyi thi,
Har man jati thi har bar
jab me kisi compitition me har jati,
Par dit thi itni ki har bar hissa le leti thi
par jitti kabhi ni thi,
Par har na mani mene
class 9 me thi jab
peheli bar jitti thi tab,
Vo mera pehela hi participation tha kisi poetry competition me
or mene than li thi agar ni jiti is bar
to kabhi ni likhungi me koi kavita,
Bhagwan ne sath de diya mera
peheli bar me jit se mulaqat kara diya mera,
Vo meri zindagi ki peheli jeet thi
Or sabse badi khushi,
Vo vakt tha jab mene mehesoos kiya tha
Khushi ke asu ko experience kiya tha,
Vo pal sabse khubsurat tha
or humesha ke liye yaadgar tha,
Us vishaye par vo meri peheli kavita thi
or mujhse zada meri teacher mujh par confident thi,
Jis din mujhe pata cala
ki jeet se mera samna h hua
uske agle din savan ka pehela somvar tha
or mera vo pehela vrat tha,
usse pehle mene kabhi vrat ni rakha tha
kyuki bhagwan ne bhi mere liye kuch ni kiya tha
Vo vrat mera bhagwan ko dhanyawad kehene ka tarika tha,
Or ye itafak h ya h koi camatkar mujhe ni pta
par usi din maa ne sriyantra ka sthapna kiya tha,
Me itni khush thi
ki meri khushi ka koi thikana hi ni tha,
Mere itne khush hone ki vajah sirf meri jeet ni thi
me itni khush isliye thi kyuki meri ye peheli jeet mujhe ek soldier se mili thi,
Asal me vo compitition state compitition tha jo NCC Cadets ke liye organise hua tha,
Or jeet ka jo tohfa tha
vo meri life ki peheli kamayi thi,
Vo jeet me kabhi ni bhulungi
kyuki ek soldier ne personally meri tarif ki thi,
Itna hi ni ek professional writer ne bhi meri tarif ki thi
vo bhi mere mummy Papa ke samne,
Jab unke samne hui thi meri tarif
garv se unka sina coda hua tha
man me mere tarange uthi thi
sabse badi khushi mujhe us vakt mili thi,
Vo jeet to me kabhi ni bhul sakti
kyuki vo meri peheli jeet thi.........

- Shreya Pathak
© All Rights Reserved
#firstwin #pehelijeet