...

13 views

A Vendor's story
Khada hu aaj usi raste pe jahan se roz guzrta tha
Jaane aane walo ko raston ka haal sunaya krta tha
Ummedon ki ek ghathri liye m shaam-talak bhatakta tha
Musafir tha m raahon ka unhi raaho pe basta tha

Udaas sa mann tha chehre pe shikan tha
Galiyon me bhatakta tha ghar ghar chillaya krta tha
M lambe safar ka raahi tha bohot dur se aaya krta tha
Musafir tha m raahon ka unhi raaho pe basta tha

Thand ki sehmi seheren thi aur oss ka ek parda tha
Chahe tapti dopeheri ka ek lamba sa arsa tha
M girta tha sambhalta tha m raahi tha m chalta tha
Musafir tha m raahon ka unhi raaho pe basta tha

Suraj ko chaddhte takta tha m shaam ko dhalte takta tha
Baarish se baate krta tha rang e aasaman badalte takta tha
Kisi kahani ka m hissa tha m aaya jaya krta tha
Musafir tha m raahon ka unhi raaho pe basta tha
© All Rights Reserved