...

17 views

manzil
jo kehena tha kaha nahi,
jo socha tha Mila nahi,
jo Mili dua tho dawa nahi,
jo dawa Mili tho sifaa nahi.

ke Bane Amar un panoo mein,
raasto pe kabhi bhika nahi,
aur Jo nakamiyabi Mili ,
vo kehene Lage mera khuda hi nahi.

Saaya tera nasib na tha shayad,
pyaar tera buzdil tha shayad,
ke ghar Mila tho tu nahi,
aur thu Mili tho jaan nahi.

aakon ko tera dhek na saka,
hooton Ko teri padna saka,
ke aaken Mili tho Nazar nahi,
aur hootn mile tho Zubaan nahi.