...

25 views

....aaj bhi ❤️
mein aaj bhi tumhare bare me likh raha hoon.
Ke tumhara chehra kisi gazal sa hain,
Jab tum apni palke unchi karti ho to wo kisi mukammal sher se lagte hain, aur hoth makhte ki tarah, jispe haq sirf aur sirf shayar ka hain,
Me wo shayar banna chahta hoon...

Par me tumhari tareef me isse zyada likh nahi pata ke, ke zarne bhi pyaase ho jate hain jab tum apni bhigi zulfe jhatakti ho, tumhari naak ki banavat pe bhagwano me aaj bhi ek missal si kayam hain, bahek jaati hain wo hawa bhi jo teri unglio ke bich se nikalti hain aur meri dhadkan ki koi awaz hoti to wo teri payal ki khanak ki tarah sunai deti aur tumhari aankhe....

Tumhari aankho me ek brahmand basa hain, jiska me sirf ek chhota sa hissa banna chahta hoon, ek sitaara hi sahi jiski roshni uske jane ke baad bhi tumhari zaheniyat me rahe.

Mujhe tarikhe yaad nahi rehti, par tumhari saari harkate yaad hain. Jese saj sawar kar jab tum aayne ke samne khadi reh jaati thi to khud ko dekhne ke bahane meri taraf dekha karti thi ek taarif ki umeed me, jo me nahi kar paya tha..

Fir tum palat ke meri taraf kehti ke, kesi dikh rahi hoon me??? Tab me kehta bahot sundar,
To ye bina puchhe nahi bata sakte the tum?
Q batata? Sundar to tumhe har koi keh deta par jis bholepan se tum wo sawal puchhti thi, wo har kisi ke naseeb me kaha tha?

Jab tum naraaz ho kar kisi kone me beth jaya karti thi to me jaan bujh kar bewakoofi wali harkate karta tha, jiski wajah se tumhare hotho pe aadhe chand ke musallak ek muskaan aa jati thi, aur mere dil me EID ban jati thi.

Tum har chiz sambhal kar rakha karti thi. Wo muvi ki tickets jo humne sath dekhi thi aur wo taufe jo mene diye the aur shayad meri ek do kameez bhi rakh deti jinhe pakad kar tum so jaya karti thi,

Par me kuchh sambhal nahi paya, na chizo ko na tumhe...par mene tumhe pura ka pura khud me samet ke rakha hain.

Apne mann mutabik tumhare sath jee leta hu, tumhare bachpane par kabhi bhi has deta hu, tumhari kahaniyo ko utne hi pyaar se sunta hu, ha tumhare fensle jin pe aaj bhi naraz rehta hu, soch me, kabhi kabhi tumhari god me sar rakh kar so leta hu, isi bahane nind aa jati hain...

Me aaj bhi sochta hu ke kash, kash me humari lakiro ko bandh pata to usi ganth par hum humara chhota sa ghar bana lete. Par jab ye koshish ki to bich me ek inch ka fasla reh gaya..jo humari galat fehmi aur galat fenslo ka tha, jise bharne me ab puri ek zindagi nikal jayegi...

Khair, me aaj bhi tumhare baare me likh raha hoon.....

© feelshr❤️