...

21 views

Purane Pyar Ke Kuch Naye jazbat aur kuch Naye Sawal
Na Jane aaj kyu phir mujhe tumhari yad aayi hai
Bhale hi tum bahut door ho gyi ho mujhse
Lekin is barish ke mausam ne, is chandni rat ne
Aksar mujhe tumhari kami mehsoos karai hai

Tumhari sath ki gayi vo anginat batein
Door rehkr bhiTumhare sath mehsoos kiye gaye vo khubsurat Lamhe aksar jehen mein yun hi bina
Bulaye a jaya krte hain jab tumhare
Kahe gaye vo pyar ke teen
Shabd kano mein goonjte hain

Ab mujhe hota hai ehsaas
Shayad na tum galat thi
Aur na galat tha mera pyar
Shayad Humne kiya tha
Galat waqt par pyar

Mein vapas aana chahta hoon tumhare paas
Abhi bhi zinda hai
Tumhare liye mera pyar
Bas mein kr rha hoon
Sahi waqt ka intzar

Magar mein tumse krna chahta hoon kuch sawal
Kya tumhe ab bhi yad aata hai mera pyar
Kya tumhe ab bhi aati hai meri yaad
Agar aisa hai tabhi mein aaunga tumhare paas
© S.S.C.