...

7 views

BETI
Har ek ladki ki tarah hi mere bhi sapne hazaar hai...par ghunghat ke saath bandookh ka bhi shoukh bada hai...jid hai duniya badalne ki... hazzar nakamyabi par hi toh ujalne ka nam Jeet hai...jeetna hai mujhe har ek darr se ..har us buri nazaar se ...har ek darinde se ....
Besahara hu par swabhimani hu...
Abba ki parchayi hu...
Apne Bhai ki rooh basti hai mujh mein...
Maa ki aankhon ka Tara hu...
Bojh nahi hu kisike sar ka...
Na hi kisiki mohtaaz hu..
Aaj ki naari har kisi pe bhari pad sakti hu...apna hifajat usi tarah Kar sakti jaise kitchen me aag se khel sakti hu.....betiyaan desh bhi Chala sakti hai ...bacche bhi paal sakti hai...udaan bhi bhar sakti hai...yuddh aur prem dono ke kabil hai betiyan...kabhi na samjhe apne aapko kamjor aapse janam lekar hi banti hai mard ki mardangi .....Roshan ho jab nam aapki koyi na dekhe beta hai ya beti.....jhande gardne ki ab samay hai badal dijiye apne usool jinhone jakad rakha hai apko aage badne se.
© AFSANA PARBIN