Mai Tere shahar me aa bhi gya to kya
Mai Tere shahar me aa bhi gya to kya
Ye kya hai ki tum Milne bhi nhi aaoge
Hizr ke waqt ye wada bhi to kiya tha
Rishta tod rahe ho par rabtaa me rahoge
Hala ki ek khatt bhi nhi aaya tera mere pass
Mai barha dakiya se puchta rha ki tum likhte hoge
Mujhe apni har hichkiyo pe ye darr bhi satata rha
Na Jane kis haal me mujhe yaad kar rhe hoge
Ab aisa kya hai ki tum khud ko badal rahe ho
Tumne to kaha tha apne kirdaar me rahoge
Ek khuda ka 'Rahmat' hai Jo kabhi badala nhi
Wagrana tum to har rang me utar gaye hoge.
© Rahmat Dilshad