...

1 views

Insaniyat 💔

Insaniyat



Insaniyat aakhir hai kya

Insaniyat Yeh Hai ke

Agar koi kisi se baat

Kare kaisa tu pucho toh Saamne se log Reply nahi

Karte sochte hai ab Yeh

Aage se koi favor maangega

Reply nahi karta hoon Chhod.

Insaniyat woh hai jab koi

Apna musibat mein hona toh

Koi Apna nahi madad karta hai bahar ke log karte hai

Apne toh bas tans kaste hai.

Insaniyat woh hai ke log ab doosron ko dikhane ke liye jee rahe hai na ki khud ke liye.

Insaniyat woh hai ki aaj bhai bhai na raha apna koi rishta na raha agar raha toh sirf dost raha.

Insaniyat woh aaj rishte rishte na rahe aaj rishta ho ya dosti dono ko hi paison ke wajan se tol ke nibhaya jata hai.

Insaniyat woh hai ki agar humari ladai ko apne se ho jati hai na toh woh tumhe dard mein dekh kar bhi muh pher leta hai.

Insaniyat woh hai chahe aapka apna koi mar bhi raha ho na tab bhi koi aapki sahayta ke liye aage nahi aata hai agar koi aage aayega toh uska parivaar jiska sadasya musibat hai ya koi dost.

Insaniyat yeh hai ke yeh dard khatam nahi ho raha hai jisko aage badhna chahiye uski baari na aakar uski baari aa rahi hai jo pehle se hi bhara hai muqammal hai

Balki jo adhura hai ussey muqammal karne ke liye humein aage badhkar doosri sahayta karni chahiye tabhi Insaniyat jaag payegi warna aise hi chalta hai toh Insaniyat acchai sacchai sab ek din khatam ho jayega.

Pyaar baanton nafrat nahi

Khush hoke jiyo roke nahi.
© akhil bhatiya