...

30 views

Khud Ki Talaash Mein
Nah kuch saath liye, nah kuch piche chode, bas nikal padi hun mein,
Khud ki talaash mein.
Badi hi asani se kaat rahi thi zindagi meri,
Mere alawah muje kisi ki nahi padi thi,
Apni choti si zindagi me khush thi main,
Hazaro sekdo sapno ko bun rahi thi main,
Najane woh din kaha kho gaye,
Mere khwaab til-til kar dundhalane lage.
Ek waqt tha jaab main has liya karti thi, khushiyaan bayan kar diya karti thi,
Choti se choti baat ko khaas keh kaar saab ko hasa liya karti thi,
Magar aaj,
Jaab is saaf aine me bhi dekhti hu na toh khudki dundhali zalak nazar ati hai,
Samne dikh rahe bejan angan main aab sirf meri avaz hi gunjati hai,
Mera zamir toh kaab ka khamosh ho gaya,
Aur aab toh deh bhi so gaya,
Duniyan intezar kaar rahi hai mere janaze ka, magar woh nahi jante ki sanse toh aab hi chal rahi hai meri,
Are duniya ko kya pata me dirangat nahi, yeh jo nazarien dekh rahi hai na tumhari,
Woh zinda laash hai meri.
Are.... ruko,
Kuch sochne se pehle suno,
Yeh laash ke pehle zinda hu mein,
Bas khud ko kahi kho diya hai mene,
Hatashi k mare saans fulne laag jati hai meri is karavas mein,
Aab toh dum bhi ghutne laga hai chera chupate is libas mein,
Isliye saab chodkar bas mein nikal padi hu khudki talaash mein.
Magar meri baat khatma hone se pehle ek baat zarur kahungi,
ki,
Mein jaa rahi hu dafnane meri zinda laash ko,
Mein.....Jaa rahi hu dafnane meri zinda laash ko,
Aur lautungi tabhi jaab khatma kar
paungi khudki talaash ko......

© Dhruvi Kantariya