(M.O.N.A) p-3
U to khushi ke parwane bahut saare hai,
Aankho ke aansu se lekar chehre ki muskaan tak,
Baato ki chaukhat se,yaadon ki mehfil tak,
Afsano ke jhoke se lekar ,dil ki dehlij tak!
Kabhi ruaasein gye the muskaan ko dhundte,
Jo palko ki gilli syaahi bhi ab roke nhi rukte!
Likhti hui kahani se dhul ki chadar oadhne tak ,
Yaadon ki khamoshi se,gumnaam aahat tak,
khushiyon ki haryali se, dukhon ke pathjhad tak!
Sabdon ki zarurat nhi us awaj ko jo dil ki hoti hai,
Jispar chitthi kayak bankar dariya me behati hai!
Mausam ki kalakari,Dhup,Chaav or Barish tak,
Raat ki sawari,Chand,Taare or Khamoshi tak,
Yaadon ki khidaki, biite samay se judi kahani tak!
Jo dhundla hua ese, milla phir us qaid se kabhi na,
Chut gya jo aangan, us khuli chaardiwari ka!
Lamho ki khuwaish se, qaid hui tasveer tak,
Hawaao ke Aashiyaano se,Raet ke bane mehal tak,
lafazo ke pemaane se, namm aankho ki mehfil tak!

© Arya