...

10 views

Wo Ek hai
Jo sabke khayaalon ko padta hai,
Jo sabke karmo ko tolta hai
Jo har ghadi humme parakhta hai
Aur ek mauka, jo humme de sakta hai

Jo humare saamne hai, jo humare andar hai
Ek lau ke ujale me ya boond boond se bana jo samandar hai

Jiska koi janam nahi, jiska koi ant nahi
Wo ek sach hai jiska kisi jhoot se koi sambandh nahi

Wo sabki shuruwat hai,
Wo din hai, wo raat hai
Nratya jo pralay ka kare
Aaina jo samay ka bane

Wo ek hai
Uske bina kuch bhi nahi
Wo sabka praan hai
Uske bina bas shunya sthaan hai

Kalakar hai wo
Jiski kala se bramhand ye chale
Gulaam hai sab uske hukum ke
Uske eeshare pe suraj, chaand bhi dhale

Wo ek hai jo har chehre me dikhe
Wo paschataap ki peher hai jo har paap ko pehre me rakhe

Wo ek hai, ek roshni, jiska koi aakaar nahi
Uske Siva iss sansaar me aur koi chamatkaar nahi

Wo ek hi hai jo poora hai
Uske siva har koi adhoora hai

Nidar sa swabhav hai uska
Kaal ki chaadar se pare
Nirvair hai wo har rooh se
Har rooh jiske naam se jage

Ummeedon ka aashiyana hai
Ibadaton ki manzil hai wo
Fariyaad na hogi kabhi
Uska naam jo agar dil me ho

Dayaalu hai wo ek
Roop jiske anek
Karta maaf har paap hai
Dil me jiske paschataap hai

Wo ek hai, jeevan-mratyu se pare
Wo ek hai, jisse ye kaal bhi dare
Fir bhi janam leta hai wo humare bikhre huye sansaar me
Taaki sambhal sake insaan iss jhoot ke bazaar me

Jeene ka asli dhang bataya hai uss ek ne
Marne ka asli dhang bataya hai uss ek ne
Yaad rahe har peher uski,
Shaamil karle apne har eerade me use
Kaat dega wo janam-maran ka silsila
Agar apne karmo se humne paa liya use

Naukar ko Raja bana de, Raja ko naukar
Uski toh bas ek nadar ki der hai,
Paa lenge hum sukh, apna har dukh khokar

Hai wo apni marzi ka maalik
Waqt Badal de ek lamhaat me
Jo rakha uska har hukum saraakhon par
Toh khushiyan lautegi jaroor fir saugaat me

Shukriya kare har dum uska
Aisa humara gyaan ho
Sarakhon par ho uski har ek amaanat
Iss qadar uss ek ka sammaan ho

Abhimaan karna agar uss ek me tum shaamil ho
Wo ek jab tumme samma jaye, samajh lena ab tum kaamil ho

Magar ye galti kabhi mat karna
Guroor apne andar zara sa bhi mat bharna
Itihaas gawa hai ke ahankar barbaadi ka raasta hai
Kyunki wo ek bhula deta hai usse jiska bhi iss zeher se koi vaasta hai

Uss ek ke baare me jo jaanta hai
Har dharam ke kaydo ko wo maanta hai
Kyunki ab toh ye saaf hai ke
Har granth ke har panne par bas uss ek ka hi naam hai

© alpha_bet_s