...

5 views

Abhi baaki hai
Itne bhi nahi toote hai ki jud na saken Abhi toh mera bikharna baki hai
Itni bhi nahi tadpi hu jaise jal bin machli
Abhi toh shareer me har ek ang baki h
Abhi mujhe koi rok nahi sakta abhi toh bhut kuch karna baaki hai

Itne bhi pur nhi katein hai ki udd na saken
Abhi toh unchaiyo ko chuna baki hai
Main ek soya hua sher hu
Mera bas jagna baki hai
Mujhe koi bujha nahi sakta
Abhi toh mera jalna baaki hai

Mujhe uthna hai aur zindagi se ladna hai
Abhi mujhme jeene ki aas baki h
Maine abhi jung m hathiyaar nahi dale hai
Abhi toh mujhme akhiri saas baki hai

Mere ujaale ko kuch rok nahi sakta
Sara jag roshan karna abhi baki hai
In choti choti haar se mujhe fark ni padta
Abhi toh meri badi jeet baki h
Mujhe koi pinjra kaid nahi kar sakta Aasmaan mein unchi udaan bharna abhi baki hai