...

3 views

ek sarkari naukri aisi bhi...
karu kya sitam e bayan,
jab hausla hi uth gayan,
socha tha ab hoga dukho ka aant,
par zindgi chintayen le ayi prachand,
bhaga dordi kar k pariksha ja likha,
parinam k intezar me salo sal ruka,
ani thi jo safalta wo wahi ruk gyi,
court case me fash parinam wahi atak gyi...
Roj lagaye the baithe aasshh,
ki aj faishla case ka ho jae kasshh,
par hua n ye sitam e pura jald,
himmat aur sabr ne bnaya hme buland,
ayi ek sham wo parinam ki suchi,
par use dekh k mit gyi meri sari ruchi,
nahi tha mera nam us parinam me,
tuta sara asshh bhare sareaam me,
phir suna kahi ek aur list niklega,
socha dobara umeed lagayu, ya phir ankho se ashu niklega,
dusri parinam ane me hui bhut deri,
sabne kaha ye to hai sarkar ki heraferi,
lagayi phir kachahari ki dord,
aur dobara suru hua tariko ka hoard,
aaj v rha wahi parinam ka intezar,
mera hoga ki nahi janne ko hu bekarar,
yhi hai meri sitam ye bayan,
kb tk rakhu aur hausla, jo uth gayan...

-by Sneha Bhadra










© Sneha Bhadra