...

3 views

The Kindest Being... Who is not a being...
Jab raat aur din me farak na reh jaye,
Jab apne aur paraye me farak na reh jaye,
Tab Jo milne tumse aye
Wo Mahadev hen...

Jab Shyam me aur Shyama me
farak samjhna aye,
Nataraj aur Natbar Narayan me koi farak na reh jaye,
Mahadev mil jate hen...

Jab Raha tumko koi na sujhe,
Aur age koi raah bhi na ho,
Aur tum pucho unse abb kya,
Aur ek Baadal chatke Suraj ki rashnise phir age ki dikhane lage,
Wo Mahadev hen...

Jab tum khudko na samjha sako,
Wo bhesh badal kar tumhare mannki har sabal tumhise puchne aye,
Aur tum samne baleko samjhate samjhate
Mehsus karo,
Ye me kya bole gayi...
Yahi toh meri samasya bhi thi...
Tumhare hi Mukhse Jo tumse baat Karen,
Wo Mahadev hen...

Naam lete hi jinke sab muskil asan ho jaye,
Har namumkin mumkin ho jaye,
Tumko sabhi sabal ke Jawab mil jaye,
Wo Mahadev hen...

Guruji ki sabhi batonki,
Jo barson pehle sunethe kabhi,
Jab yaad aye kyun ki abb samjh phir ayi he nayi sire se baat wahi,
Tab lagta he app ass pass hen...

Jab bhini bhini khusbu koi,
Meri Ghar Angan me lehraye,
Khidki aur Darbaje sare band honeki babajud,
Tab lagta he mere sang sang nach rahe hen...

Jab Suraj aur Chand me farak najar na aye,
Mukhse Naam bas Mahadev ki nikla jaye,
Wo aa jate hen...
Han wo aa jate hen...

Jab panchion ki chehak me,
Lage sur taal koi phiro Raha he,
Barkha bijali aur Dhup chaon,
Hawa sang gaa rahe hen,
Wo aa jate hen...

Hume dard ki har Bajar me bheja kar jab app dekha karte hen ke hum Kya kharid rahe hen,
Aur hum appke bina kuch nehi late hen,
App muskurate hen...
Mujhe sinese laga kar tasalli mehsus karte hen...
App mere liye kitne dard sehte hen...
Chup chap niharte hen mujhe,
aur jab tak girti rahun uthaye rehte hen...
App itne pyare kese hen...
Mujhe itna Pyar kese kar pate hen...

Har jaroorat ko sahi se jese chahiye bilkul bese kese samaya par Rakhi ate hen,
App srithiki sabse bade ajuba hen,
Ya me koi khwab dekh rahi hun,
Appke godi me sar rakh kar so karke...

Sukriya kehna bahat kam lagta he,
Meri Dil baag baag app jesa bante jaa Raha he...
Samne bala Jo bhi Kare,
Use premse maph kar atahe,
Sare dushmani duniya jese khatam ho gaye hen...

Usool aur sahi galat me jab fasla sari mit jati hai...
Niraakar uss pagal se bhet ho jati hai...

Abb itnehi mujhse khus ho agar,
Deva Padharo app mere Ghar...
Samne betho tum har pal,
Dekhun najar bharke atho peher...

Kyun tum chupe ho yun dil me mere,
Asma ki Neel rang me aur pahadon ki chotion me...
Ghante jangal ki andhiyari me,
Sagar ki gehrayi aur lehron me...
Abhi jao tum,
Banke Madhav ya banke Gopal mere,
Ya phir milo tripurari banke koi premi gale...
Tum ban jao chotasa bacha koi,
ya phir banke Milo godi Maa ke...
Abb har ek kshyan milneko tumse ye icha teebra he,
Kardo karuna abb tum bin kya hi meri hai
...
© All Rights Reserved By RameswariMishra