...

12 views

Chand Lafz Us Shakhs Ke Naam Jo Ab Mere Liye Doosre Mayno Mein Khas Hai
Zindagi mein mujhe pyar to kai dafa hua hoga
Lekin kuch to khas bat hai tum mein jo tum
Jaisa apnapan mujhe kisi aur se na hua hoga
Manjoor hai mujhe ki tumhe kisi aur se pyar hua hoga kyuki vo shakhs tumhare liye mujhse
Kai guna zyada khas rha hoga

Tumhare andar to mere liye koi pyar wala
Jazbat paida na hua hoga
Lekin tumhari saadgi aur pyari pyari baton se hi
To mera man tum pr fida hua hoga

Jin lamhon ko tumhare sath bitane ka khyal
Mere dil mein aata tha
Unhi lamhon ko tumhare us khas shakhs ke
Sath bitane ka khyal tumhare man mein bhi to aata hoga

Kabhi kabhi mein ye sochta hoon ki jis shakhs se
Tumne pyar kiya hoga vo kitna kismat wala rha hoga
Shayad galti meri hi thi ki maine tumhare bare mein
Kuch jyada hi soch liya tha

Khushi hai mujhe tumhare aur us shakhs ke liye
Jinhe apna apna chahne wala mila hai
Lekin ek bar uske bare mein bhi sochna
Jise kabhi uska pyar na mila hoga

Haan , kuch batein mein kabool krunga ki mein
Tumhari khushi sabse jyada chahunga aur
Tumhare chehre par shikan kabhi nhi dekhna chahunga
Bas ab pehle ki bajay fark ye a gya hai
Ki unke mayne ab alag honge

Ek sacche dost ki tarah hamesha tumhara sath nibhaunga
Lekin ek yahi khwahish agle janam mein rhegi
Ki tum jaisi ek insan mile jo sirf mera hoga

Ab shayad ye bhi ho sakta hai ki
Zindagi mein aane wale har insan mein
Tumhein doondhne ki koshish krunga
Jab bhi tumse milunga to apna dard tumse
Chhipane ki koshish krunga
Hamesha tumhari khairiyat ki dua
Us bhagwan se krunga










© All Rights Reserved