...

4 views

sarir kalpanik hota hai
Sarir kalpanik vastvik keval aatma hai
Hr jeev me nivaas krne wale ek hi parmaatma hai
Sansaar ki rachna bhi unhi ka karishma hai
Vkt ki suieyo pr jeevan ko to sahadev badlna hai
Bs padaav ke raaste se to en panch tatvo ko gujarna hai

Sarir kalpanik vastvik keval aatma hai
Hr jeev me nivaas krne vale ek hi parmaatma hai
Manav ka uddesya to nesawarth bhav se apna krma krna hai
Sukh dukh ke chakar me hme kbhi nhi fasna hai
Hme to ense upar uthkar parm anand ki prapti tk pahuchana hai
Aashao ko chodkar samanta me chipe us kalayan kari mntra ko pehechan na hai

Sarir kalpanik vastvik keval aatma hai
Hr jeev me nivas krne wale ek hi parmaatma hai
Sayeyog viyog ka anubhav to bs mn me bhram ka aana hai
Aatma ko to nitya swaroop me or anant kaal tk easthir rehena hai
Kaaya ka to kaam hi aarambh se ant ki or jaana hai
Phir khone ka dar or paane ki chaha se kiska vasta hona hai

Sarir kalpanik aatma vastvik hai
Hr jeev me nivas krne vale ek hi parmaatma hai
Sukh ke ullaas ko auro ki sahayata me lagana hai
Dukh ke kasto ko apne dheary ka sambal bnana hai
Tamannao ki manjil tyagkar samrpad ki disha ki or badhna hai
Aane wale bhavisya ko krodh, lalach, ehenkaar ke bandhan se toad kr prem or mukti se aajaadi dilwani hai

Sarir kalpanik aatma keval vastvik hai
Hr jeev me nivas krne wale ek hi parmaatma hai