...

20 views

Tera banna chahta hoon
Jo kabhi teri aankhon se judaa na ho
Main woh khwaab banna chahta hoon.
Jo kashmakash tere dil mein hai
Har uss sawaal ka jawaab banna chahta hoon.
Jo mere siwa koi padh na paaye
Tere dil ki woh kitaab banna chahta hoon.
Jo teri har subah ko roshan kare
Teri zindagi ka woh aaftaab banna chahta hoon.
© Charanjit Kaur