...

4 views

Ek bachpan ka jamana tha....
Ek bachpan ka jamana tha,
Jismein khushiyon ka khajana tha.

Gam ki baatein na thi,
Na Khushi ka thikana tha.

Thak kar school se aana,
Par khelne bhi to Jana tha.

Rone ki wajah na thi,
Na hasne ka koi bahana tha.

Kisi baat ki na fikar thi,
Na jimmedariyo ko sambhalna tha.

Uljhe rehte the choti baaton mein,
Uss uljhan mein hi apna aashiyana tha.

Na kisi ko khone ka dar,
Na koi baat kisi se chupana tha .

Char dost sang the apne,
Bss yhi dosti apna khajana tha.

Kuch saath rahe kuch chale gye,
Khair unhe bhi to ek din chale Jana tha.

Dadi Nani ki kahaniya thi bss,
Maa ke pallu mein bandhe reh Jana tha.

Baba ke kandhe prr baith krr saari jidon ko manwana tha,
To papa ki ungli ko pakad kar ghumna Sara jamana tha.

Jabardasti na hasana khud ko,
Bss khul kar mushkurana tha.

Kyu ho gye Aaj itne bade hum,
Isse acha to bachpan ka jamana tha.

--yash_writes