...

3 views

Suicide/ Aatmhatya/ Murder?
Main har roz awaaz lgaata tha
Main aankho se shor machaata tha
Main kehta tha dar lagta hai
Main kehta tha sir dukhta hai

Main kehta tha mazboor hoo main
Khudse kitna door hoo main

Main har roz khud se ladta tha
Girta tha sambhalta tha

Main dafan baate btaau kaise
Logo ko samjhaau kaise

Mana ki main sab seh leta hoo
Mana ki akele bhi reh leta hoo

Par main bhi to insaan hi tha
Bohot dino se pareshaan bhi tha

Chup rehta tha dam ghutta tha
Awaaz main lgaau kisko
Duniya ko samjhaau kaise
Dafan hai jo baate btaau kisko

Main koshish baar baar karta tha
Khud ko bhi bohot pyaar karta tha

Par jab waqt ne mujjhe tod diya
Maa sabne mera sath chor diya

Mujjhe zindagi se jyada maut behtar lagi
Ab main hoo hi nahi to kya farq padta hai kisi ki dua lagi ya baddua lagi




© zohrawritess